Shayari
thi us ki band muTThi mein chiTThi dabi hui
jo shakhs thaa train ke niche kaTaa huaa
tum bahr-e-mohabbat ke kinaare pe khaDe the
tum ne miri aankhon mein samundar nahin dekhaa
تم بحر محبت کے کنارے پہ کھڑے تھے
تم نے مری آنکھوں میں سمندر نہیں دیکھا
तुम बहर-ए-मोहब्बत के किनारे पे खड़े थे
तुम ने मिरी आँखों में समुंदर नहीं देखा

thi us ki band muTThi mein chiTThi dabi hui
jo shakhs thaa train ke niche kaTaa huaa
chaahaa hai jis kaa saaya shajar vo babul hai
qismat mein mere aaj bhi saDkon ki dhuul hai
dil khaak huaa pyaar ki is aag mein jal kar
aur jhaank ke us ne kabhi andar nahin dekhaa
ba-vaqt-e-shaam samundar mein gir gayaa suraj
tamaam din ki thakan se niDhaal aisaa thaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
main to suntaa huun tumhein bhi hai mohabbat mujh se
sach kaho tum ko mire sar ki qasam hai ki nahin