Shayari
vo ye kah kar daagh dete hain mujhe
phuul se pahle samar aate nahin
ham ko sambhaaltaa koi kyaa raah-e-ishq mein
khaa khaa ke Thokarein hamin aakhir sambhal gae
ہم کو سنبھالتا کوئی کیا راہ عشق میں
کھا کھا کے ٹھوکریں ہمیں آخر سنبھل گئے
हम को सँभालता कोई क्या राह-ए-इश्क़ में
खा खा के ठोकरें हमीं आख़िर सँभल गए

vo ye kah kar daagh dete hain mujhe
phuul se pahle samar aate nahin
mushkil hai imtiyaaz-e-azaab-o-savaab mein
piitaa huun main sharaab milaa kar gulaab mein
koi rusvaa koi saudaai hai
ik jahaan aap kaa shaidaai hai
zor qismat pe chal nahin saktaa
khaamushi ikhtiyaar kartaa huun
us ne sun kar baat meri Taal di
uljhanon mein aur uljhan Daal di
ayaan yaa nihaan ik nazar dekh lete
kisi surat un ko magar dekh lete
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
kyaa isi bhuul ko kahte hain mohabbat kaa zavaal
ab mujhe yaad nahin saalgirah bhi teri
ham ko aapas mein mohabbat nahin karne dete
ik yahi aib hai is shahr ke daanaaon mein
gham agarche jaan-gusil hai pa kahaan bachein ki dil hai
gham-e-ishq gar na hotaa gham-e-rozgaar hotaa