Shayari
jab dil kaa dard manzil-e-shab se nikal gayaa
mahsus ye huaa koi tufaan Tal gayaa
A
Azizunnisa Nazab to hai sirf aamad-e-fasl-e-bahaar yaad
dil ek phuul thaa jo sar-e-shaakh jal gayaa
اب تو ہے صرف آمد فصل بہار یاد
دل ایک پھول تھا جو سر شاخ جل گیا
अब तो है सिर्फ़ आमद-ए-फ़स्ल-ए-बहार याद
दिल एक फूल था जो सर-ए-शाख़ जल गया
jab dil kaa dard manzil-e-shab se nikal gayaa
mahsus ye huaa koi tufaan Tal gayaa
ashkon ne raaz dil kaa kiyaa jab kabhi ayaan
kitni hui hai mujh ko nadaamat na puchhiye
kitne lage hain zakhm jigar par kise khabar
Dhaai hai kis ne kitni qayaamat na puchhiye
ranj-o-alam ki koi haqiqat na puchhiye
kitni hai mere dard ki azmat na puchhiye
jab tak kisi kaa naqsh-e-kaf-e-paa hamein milaa
ham se kuchh aur duur zamaana nikal gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
shama bujh kar rah gai parvaana jal kar rah gayaa
yaadgaar-e-husn-o-ishq ik daagh dil par rah gayaa
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai
koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost
koi viraani si viraani hai
dasht ko dekh ke ghar yaad aayaa
ek parchhaain tasavvur ki mire saath rahe
main tujhe bhulun magar yaad mujhe tu aae
dam liyaa thaa na qayaamat ne hanuz
phir tiraa vaqt-e-safar yaad aayaa