Shayari
chaar samtein aaina si har taraf
tum ko kho dene kaa manzar aur main
rang apne jo the bhar bhi kahaan paae kabhi ham
ham ne to sadaa radd-e-amal mein hi basar ki
رنگ اپنے جو تھے بھر بھی کہاں پائے کبھی ہم
ہم نے تو سدا رد عمل میں ہی بسر کی
रंग अपने जो थे भर भी कहाँ पाए कभी हम
हम ने तो सदा रद्द-ए-अमल में ही बसर की

chaar samtein aaina si har taraf
tum ko kho dene kaa manzar aur main
zamin ke aur taqaaze falak kuchh aur kahe
qalam bhi chup hai ki ab moD le kahaani kyaa
us ne mere naam suraj chaand taare likh diyaa
meraa dil miTTi pe rakh apne lab rotaa rahaa
simaT gai to shabnam phuul sitaara thi
biphar ke meri lahar lahar angaara thi
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ye aansu ponchh lijiye aur muskuraaiye
chaara nahin hai koi bhi rukhsat kiye baghair
go mujhe ehsaas-e-tanhaai rahaa shiddat ke saath
kaaT di aadhi sadi ek ajnabi aurat ke saath
udaas aankhon se aansu nahin nikalte hain
ye motiyon ki tarah sipiyon mein palte hain
dasht ki naa-tamaam raahon par
koi saathi hai to shajar tanhaa