Shayari
muskuraa kar agar vo dekhe to
aaine par nishaan paD jaae
laD rahaa huun main akelaa kaar-zaar-e-hast mein
kar faraaham tu bhi zaalim apne hone kaa javaaz
لڑ رہا ہوں میں اکیلا کارزار ہست میں
کر فراہم تو بھی ظالم اپنے ہونے کا جواز
लड़ रहा हूँ मैं अकेला कार-ज़ार-ए-हस्त में
कर फ़राहम तू भी ज़ालिम अपने होने का जवाज़

muskuraa kar agar vo dekhe to
aaine par nishaan paD jaae
kunj-e-hairat se chale dasht-e-ziyaan tak laae
kaun laa saktaa hai ham dil ko jahaan tak laae
ek ummid ke sahaare par
kitni taakhir dekh lete hain
kyaa khabar kaun saa rasta tiri jaanib nikle
be-iraada bhi kai baar safar karte hain
be-chehra insaanon ki is basti mein
achchhaa hai aaine toD diye jaaein
paD jaate hain kitne chhaale haathon mein
aate hain phir chand nivaale haathon mein
khalq be-parvaa khudaa bandon se tang aayaa huaa
main akelaa phir rahaa huun hashr ke maidaan mein
chaman kharaab kiyaa, ho khizaan kaa khaana-kharaab
na gul rahaa hai na bulbul hai baaghbaan tanhaa
nazar aataa nahin ab ghar mein vo bhi uf re tanhaai
ik aaine mein pahle aadmi thaa meri surat kaa
tum to ai khushbu havaao us se mil kar aa gaiin
ek ham the zakhm-e-tanhaai haraa karte rahe
ab TuTne hi vaalaa hai tanhaai kaa hisaar
ik shakhs chikhtaa hai samundar ke aar-paar
dil ki dhaDkan bhi baDi chiiz hai tanhaai mein
teri khoi hui aavaaz sunaa karte hain