Shayari
main bhi gum-sum thaa koi baat na karne paayaa
us ke honTon pe bhi jaise koi pahraa dekhaa
B
Bagh Husain Kamalmain hi ghamgin nahin tark-e-taalluq pe 'kamaal'
vo bhi naashaad thaa us ko bhi fasurda dekhaa
میں ہی غمگین نہیں ترک تعلق پہ کمالؔ
وہ بھی ناشاد تھا اس کو بھی فسردہ دیکھا
मैं ही ग़मगीन नहीं तर्क-ए-तअल्लुक़ पे 'कमाल'
वो भी नाशाद था उस को भी फ़सुर्दा देखा
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
tere naghmon se hai rag rag mein tarannum paidaa
ishrat-e-ruh hai zaalim tiri aavaaz nahin
pahli si lazzatein nahin ab dard-e-ishq mein
kyuun dil ko main ne zulm kaa khugar banaa diyaa