Shayari
is badalte hue zamaane mein
tere qisse bhi kuchh puraane lage
har yaad har khayaal hai lafzon kaa silsila
ye mahfil-e-navaa hai yahaan bolte raho
ہر یاد ہر خیال ہے لفظوں کا سلسلہ
یہ محفل نوا ہے یہاں بولتے رہو
हर याद हर ख़याल है लफ़्ज़ों का सिलसिला
ये महफ़िल-ए-नवा है यहाँ बोलते रहो

is badalte hue zamaane mein
tere qisse bhi kuchh puraane lage
kuchh na paa kar bhi mutmain hain ham
ishq mein haath kyaa khazaane lage
yahi rasta hai ab yahi manzil
ab yahin dil kisi bahaane lage
rang-e-dil rang-e-nazar yaad aayaa
tere jalvon kaa asar yaad aayaa
ek hansti hui badli dekhi
ek jaltaa huaa ghar yaad aayaa
dosti khun-e-jigar chaahti hai
kaam mushkil hai to rasta dekho
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
phir mujhe dida-e-tar yaad aayaa
dil jigar tishna-e-fariyaad aayaa
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
uThaa sakte nahin jab chuum kar hi chhoDnaa achchhaa
mohabbat kaa ye patthar is dafa bhaari ziyaada hai
us ko bhi yaad karne ki fursat na thi mujhe
masruf thaa main kuchh bhi na karne ke baavajud
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai