Shayari
kuchh na paa kar bhi mutmain hain ham
ishq mein haath kyaa khazaane lage
is badalte hue zamaane mein
tere qisse bhi kuchh puraane lage
اس بدلتے ہوئے زمانے میں
تیرے قصے بھی کچھ پرانے لگے
इस बदलते हुए ज़माने में
तेरे क़िस्से भी कुछ पुराने लगे

kuchh na paa kar bhi mutmain hain ham
ishq mein haath kyaa khazaane lage
yahi rasta hai ab yahi manzil
ab yahin dil kisi bahaane lage
rang-e-dil rang-e-nazar yaad aayaa
tere jalvon kaa asar yaad aayaa
ek hansti hui badli dekhi
ek jaltaa huaa ghar yaad aayaa
vaqt kaa patthar bhaari hotaa jaataa hai
ham miTTi ki surat dete jaate hain
dosti khun-e-jigar chaahti hai
kaam mushkil hai to rasta dekho
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil ki ik ek kharaabi kaa sabab jaante hain
phir bhi mumkin hai ki ham tum se muravvat kar jaaein
reg-e-dil mein kai naadida parinde bhi hain dafn
sochte honge ki dariyaa ki ziyaarat kar jaaein
koi bhi dil mein zaraa jam ke khaak uDaataa to
hazaar gauhar-e-naayaab dekh saktaa thaa
lahu kaa haal hai 'jaaved' aisaa jaise nashsha ho
dhDaknaa dil mein bhi baad-e-sabaa ke saath bhi rahnaa