Shayari
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
har dhaDakte patthar ko log dil samajhte hain
umrein biit jaati hain dil ko dil banaane mein
ہر دھڑکتے پتھر کو لوگ دل سمجھتے ہیں
عمریں بیت جاتی ہیں دل کو دل بنانے میں
हर धड़कते पत्थर को लोग दिल समझते हैं
उम्रें बीत जाती हैं दिल को दिल बनाने में

na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain
chalo mai-kade mein vahin baat hogi
sar jhukaaoge to patthar devtaa ho jaaegaa
itnaa mat chaaho use vo bevafaa ho jaaegaa
raat kaa intizaar kaun kare
aaj kal din mein kyaa nahin hotaa
ujaale apni yaadon ke hamaare saath rahne do
na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaae
jis din se chalaa huun miri manzil pe nazar hai
aankhon ne kabhi miil kaa patthar nahin dekhaa
koi phuul saa haath kaandhe pe thaa
mire paanv shoalon pe jalte rahe
kam-umri mein sunet hain
mar jaate hain achchhe log
main tujh se saath bhi to umar bhar kaa chaahtaa thaa
so ab tujh se gilaa bhi umar bhar kaa ho gayaa hai
zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar
jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain
phir usi bevafaa pe marte hain
phir vahi zindagi hamaari hai
umr bhar kaun nibhaataa hai ta'alluq itnaa
ai miri jaan ke dushman tujhe allaah rakkhe
samajh mein aaegi tafsir-e-zindagi kyaa khaak
ki harf-e-shauq hai ijmaal be-dili tafsil