Shayari
paDhe jaao 'bekhud' ghazal par ghazal
vo but ban gae hain sune jaaeinge
ho liye jis ke ho liye 'bekhud'
yaar apnaa to ye hisaab rahaa
ہو لیے جس کے ہو لیے بیخودؔ
یار اپنا تو یہ حساب رہا
हो लिए जिस के हो लिए 'बेख़ुद'
यार अपना तो ये हिसाब रहा

paDhe jaao 'bekhud' ghazal par ghazal
vo but ban gae hain sune jaaeinge
huron se na hogi ye mudaaraat kisi ki
yaad aaegi jannat mein mulaaqaat kisi ki
raqibon ke liye achchhaa Thikaanaa ho gayaa paidaa
khudaa aabaad rakhe main to kahtaa huun jahannam ko
mohabbat aur majnun ham to saudaa is ko kahte hain
fidaa lailaa pe thaa aankhon kaa andhaa is ko kahte hain
bole vo muskuraa ke bahut iltijaa ke baad
ji to ye chaahtaa hai tiri maan jaaiye
maut aa rahi hai vaade pe yaa aa rahe ho tum
kam ho rahaa hai dard dil-e-be-qaraar kaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
misl-e-parvaana fidaa har ek kaa dil ho gayaa
yaar jis mahfil mein baiThaa sham-e-mahfil ho gayaa
ham aise be-hunaron mein hai jo saliqa-e-zist
tire dayaar mein pal-bhar qayaam se aayaa
khush huaa aisaa ki main aape se baahar ho gayaa
yaar kaa milnaa na milnaa sab baraabar ho gayaa
yaa-rab aabaad rahe khaak bayaabaanon ki
parda-poshi hui jis se tire uryaanon ki
jaan hi de di 'jigar' ne aaj paa-e-yaar par
umr bhar ki be-qaraari ko qaraar aa hi gayaa