Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
yaa-rab aabaad rahe khaak bayaabaanon ki
parda-poshi hui jis se tire uryaanon ki
یارب آباد رہے خاک بیابانوں کی
پردہ پوشی ہوئی جس سے ترے عریانوں کی
या-रब आबाद रहे ख़ाक बयाबानों की
पर्दा-पोशी हुई जिस से तिरे उर्यानों की

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
sirf zinda rahne ko zindagi nahin kahte
kuchh gham-e-mohabbat ho kuchh gham-e-jahaan yaaro
javaano nazr de do apne khun-e-dil kaa har qatra
likhaa jaaegaa hindostaan ko farmaan-e-aazaadi
guzar gae hain vo lamhe bhi ishq mein ai dost
tire baghair bhi jab khush rahe hain divaane
girne do tum mujhe miraa saaghar sambhaal lo
itnaa to mere yaar karo main nashe mein huun
havaa kaa rang nahin hai magar mizaaj to hai
havaa se dosti karnaa koi mazaaq nahin