Shayari
tum to kuchh aise bhuul gae ho jaise kabhi vaaqif hi nahin the
aur jo yunhi karnaa thaa saahab kis liye itnaa pyaar kiyaa thaa
jism mein khvaahish na thi ehsaas mein kaanTaa na thaa
is tarah jaagaa ki jaise raat-bhar soyaa na thaa
جسم میں خواہش نہ تھی احساس میں کانٹا نہ تھا
اس طرح جاگا کہ جیسے رات بھر سویا نہ تھا
जिस्म में ख़्वाहिश न थी एहसास में काँटा न था
इस तरह जागा कि जैसे रात-भर सोया न था

tum to kuchh aise bhuul gae ho jaise kabhi vaaqif hi nahin the
aur jo yunhi karnaa thaa saahab kis liye itnaa pyaar kiyaa thaa
ab ke basant aai to aankhein ujaD gaiin
sarson ke khet mein koi patta haraa na thaa
dekhne niklaa huun duniyaa ko magar kyaa dekhun
jis taraf aankh uThaaun vahi chehra dekhun
ek duniyaa ne tujhe dekhaa hai lekin main ne
jaise dekhaa hai tujhe vaise na dekhaa hotaa
daaera khinch ke baiThaa huun baDi muddat se
khud se niklun to kisi aur kaa rasta dekhun
paDne lage jo zor havas kaa to kyaa nigaah
har zaaviye se jism nikaltaa dikhaae de
jhaankte raat ke garebaan se
ham ne sau aaftaab dekhe hain
raushni ho rahi hai kuchh mahsus
kyaa shab aakhir tamaam ko pahunchi
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
us ko sochun to dhyaan mein mere
khushbu aati hai pahli baarish ki
naqd-e-dil-e-khaalis kuun miri qalb tuun mat jaan
hai tujh kuun agar shubh to kas dekh tapaa dekh
ye sar-ba-mohr botalein hain jo sharaab ki
raatein hain un mein band hamaari shabaab ki