Shayari
jalva-gar thaa har jagah kaa'ba thaa yaa but-khaana thaa
ghar hazaaron the magar vo ek saahab-khaana thaa
aataa nahin jo saamne maare hijaab ke
ham dil se hain nisaar usi aaftaab ke
آتا نہیں جو سامنے مارے حجاب کے
ہم دل سے ہیں نثار اسی آفتاب کے
आता नहीं जो सामने मारे हिजाब के
हम दिल से हैं निसार उसी आफ़्ताब के

jalva-gar thaa har jagah kaa'ba thaa yaa but-khaana thaa
ghar hazaaron the magar vo ek saahab-khaana thaa
bharosa hai tiraa hi aur hai tere sivaa kis kaa
na deve aasraa jab tu mujhe ho aasraa kis kaa
hairaan thaa ki dil meraa kahaan jaa ke chhupaa hai
jugnu ki tarah yaar ki dastaar mein chamkaa
nuur thaa yaa shoala thaa yaa barq yaa khurshid thaa
kuchh to ai muusaa kaho kyaa thaa vo jalva tuur kaa
neki kaa koi kaam hi aayaa nahin mujh se
kyaa hovegaa anjaam miraa kuchh nahin maalum
jab ghunche ne sar apnaa garebaan se nikaalaa
bulbul ne qadam phir na gulistaan se nikaalaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi