Shayari
hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
hasratein le gae is bazm se chalne vaale
haath malte hi uThe itr ke malne vaale
حسرتیں لے گئے اس بزم سے چلنے والے
ہاتھ ملتے ہی اٹھے عطر کے ملنے والے
हसरतें ले गए इस बज़्म से चलने वाले
हाथ मलते ही उठे इत्र के मलने वाले

hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
dil hi to hai na aae kyuun dam hi to hai na jaae kyuun
ham ko khudaa jo sabr de tujh saa hasin banaae kyuun
baad muddat ke ye ai 'daagh' samajh mein aayaa
vahi daanaa hai kahaa jis ne na maanaa dil kaa
na ronaa hai tariqe kaa na hansnaa hai saliqe kaa
pareshaani mein koi kaam ji se ho nahin saktaa
sar miraa kaaT ke pachhtaaiyegaa
jhuTi phir kis ki qasam khaaiyegaa
kal tak to aashnaa the magar aaj ghair ho
do din mein ye mizaaj hai aage ki khair ho
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
chhalak uThaa jo kabhi khun-e-aarzu meraa
mizha mizha tiri raanaaiyon ki baat gai
kabhi kabhi chup ho jaane ki khvaahish hoti hai
aaise mein jab tir-e-sitam ki baarish hoti hai
lagtaa hai zinda rahne ki hasrat gai nahin
mar ke bhi saans lene ki aadat gai nahin
Tapak ke dida-e-nam se sadaaein detaa hai
jo ek harf-e-tamannaa dil-e-tabaah mein thaa
naakaam hasraton ke sivaa kuchh nahin rahaa
duniyaa mein ab dukhon ke sivaa kuchh nahin rahaa