Shayari
hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
baad muddat ke ye ai 'daagh' samajh mein aayaa
vahi daanaa hai kahaa jis ne na maanaa dil kaa
بعد مدت کے یہ اے داغؔ سمجھ میں آیا
وہی دانا ہے کہا جس نے نہ مانا دل کا
ब'अद मुद्दत के ये ऐ 'दाग़' समझ में आया
वही दाना है कहा जिस ने न माना दिल का

hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
dil hi to hai na aae kyuun dam hi to hai na jaae kyuun
ham ko khudaa jo sabr de tujh saa hasin banaae kyuun
na ronaa hai tariqe kaa na hansnaa hai saliqe kaa
pareshaani mein koi kaam ji se ho nahin saktaa
sar miraa kaaT ke pachhtaaiyegaa
jhuTi phir kis ki qasam khaaiyegaa
mujh gunahgaar ko jo bakhsh diyaa
to jahannam ko kyaa diyaa tu ne
kal tak to aashnaa the magar aaj ghair ho
do din mein ye mizaaj hai aage ki khair ho
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
kitnaa dilkash hai tiri yaad kaa paalaa huaa ashk
sina-e-khaak pe mahtaab giraa ho jaise
tu miri zaat miri ruuh miraa husn-e-kalaam
dekh ab tu na badal gardish-e-dauraan ki tarah
baDe dil-kash hain duniyaa ke kham o pech
nazar mein zulf si lahraa rahi hai
dil bhi sanam-parast nazar bhi sanam-parast
is aashiqi mein khaana hama-aaftaab thaa