Shayari
hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
vo din gae ki 'daagh' thi har dam buton ki yaad
paDhte hain paanch vaqt ki ab to namaaz ham
وہ دن گئے کہ داغؔ تھی ہر دم بتوں کی یاد
پڑھتے ہیں پانچ وقت کی اب تو نماز ہم
वो दिन गए कि 'दाग़' थी हर दम बुतों की याद
पढ़ते हैं पाँच वक़्त की अब तो नमाज़ हम

hazrat-e-'daagh' hai ye kucha-e-qaatil uThiye
jis jagah baiThte hain aap to jam jaate hain
dil hi to hai na aae kyuun dam hi to hai na jaae kyuun
ham ko khudaa jo sabr de tujh saa hasin banaae kyuun
baad muddat ke ye ai 'daagh' samajh mein aayaa
vahi daanaa hai kahaa jis ne na maanaa dil kaa
na ronaa hai tariqe kaa na hansnaa hai saliqe kaa
pareshaani mein koi kaam ji se ho nahin saktaa
sar miraa kaaT ke pachhtaaiyegaa
jhuTi phir kis ki qasam khaaiyegaa
kal tak to aashnaa the magar aaj ghair ho
do din mein ye mizaaj hai aage ki khair ho
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
aise sulag uThaa tiri yaadon se dil miraa
jaise dhadhak uThein kahin jangal chinaar ke
chheDtaa kyuun hai khudaa ke liye sayyaad mujhe
nau-giraftaar huun aati nahin fariyaad mujhe
kahaani apni apni ahl-e-mahfil jab sunaate hain
mujhe bhi yaad ik bhulaa huaa afsaana aataa hai
ek hangaama saa yaadon kaa hai dil mein 'azhar'
kitnaa aabaad huaa shahr ye viraan ho kar
yaad bhi aataa nahin kuchh bhultaa bhi kuchh nahin
yaa bahut masruf huun main yaa bahut fursat mein huun