Shayari
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
us ke munh pe mukar gayaa thaa dil
aaj had se guzar gayaa thaa dil
اس کے منہ پہ مکر گیا تھا دل
آج حد سے گزر گیا تھا دل
उस के मुँह पे मुकर गया था दिल
आज हद से गुज़र गया था दिल

'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
tiraa khayaal mire dil mein kaise ghar kartaa
tiraa khayaal miri vahshaton se aage hai
'nazir' log to chehre badalte rahte hain
tu itnaa saada na ban muskuraahaTein pahchaan
is rang badalti duniyaa mein pahchaan baDi hi mushkil hai
ye kis ko khabar hai ai 'shaahid' kis bhes mein kaun luTeraa hai
kitni viraan hai gali dil ki
duur tak koi naqsh-e-paa bhi nahin
khaak-e-dil se hi uThe ab ke ghubaar-e-mahtaab
aasmaan se koi elaan nahin honaa hai