Shayari
tum aadatan kahoge use yaar maazarat
lekin ye e'tiraaf ke zumre mein aaegaa
E
Ehsanul Haq Mazharis mohabbat se miri samt koi dekhtaa hai
ruk bhi jaataa huun kabhi dasht ko jaataa huaa main
اس محبت سے مری سمت کوئی دیکھتا ہے
رک بھی جاتا ہوں کبھی دشت کو جاتا ہوا میں
इस मोहब्बत से मिरी सम्त कोई देखता है
रुक भी जाता हूँ कभी दश्त को जाता हुआ मैं
tum aadatan kahoge use yaar maazarat
lekin ye e'tiraaf ke zumre mein aaegaa
fi-zamaana ye muravvat bhi bahut hai 'mazhar'
un ko jaanaa thaa magar dost bahaane se gae
raaste aur bhi jaate hain udhar ko lekin
vo mire dil se guzartaa huaa ghar jaataa hai
zindagi us ki amaanat thi vagarna 'mazhar'
ham ise apne tasarruf mein bhi laa sakte the
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq ki har daastaan mein ek hi nukta milaa
ishq kaa maazi huaa kartaa hai mustaqbil nahin
hai mohabbat is vatan se apni miTTi se hamein
is liye apnaa kareinge jaan-o-tan qurbaan ham
ab tak khabar na thi ki mohabbat gunaah hai
ab jaan kar gunaah kiye jaa rahaa huun main
jab itni bevafaai par dil us ko pyaar kartaa hai
to yaa-rab vo sitam-gar baa-vafaa hotaa to kyaa hotaa