Shayari
aaj bhi buri kyaa hai kal bhi ye buri kyaa thi
is kaa naam duniyaa hai ye badalti rahti hai
duniyaa sabab-e-shorish-e-gham puchh rahi hai
ik mohr-e-khamoshi hai ki honTon pe lagi hai
دنیا سبب شورش غم پوچھ رہی ہے
اک مہر خموشی ہے کہ ہونٹوں پہ لگی ہے
दुनिया सबब-ए-शोरिश-ए-ग़म पूछ रही है
इक मोहर-ए-ख़मोशी है कि होंटों पे लगी है

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
zamaane bhar ke gham yaa ik tiraa gham
ye gham hogaa to kitne gham na honge
agar tu ittifaaqan mil bhi jaae
tiri furqat ke sadme kam na honge