Shayari
aah marg-e-aadmi par aadmi roe bahut
koi bhi royaa na marg-e-aadamiyyat ke liye
agar tu ittifaaqan mil bhi jaae
tiri furqat ke sadme kam na honge
اگر تو اتفاقاً مل بھی جائے
تری فرقت کے صدمے کم نہ ہوں گے
अगर तू इत्तिफ़ाक़न मिल भी जाए
तिरी फ़ुर्क़त के सदमे कम न होंगे

aah marg-e-aadmi par aadmi roe bahut
koi bhi royaa na marg-e-aadamiyyat ke liye
tiri talaash mein jab ham kabhi nikalte hain
ik ajnabi ki tarah raaste badalte hain
ham ko manzil ne bhi gumraah kiyaa
raaste nikle kai manzil se
dosti aam hai lekin ai dost
dost miltaa hai baDi mushkil se
zamaane bhar ke gham yaa ik tiraa gham
ye gham hogaa to kitne gham na honge
mohabbat karne vaale kam na honge
tiri mahfil mein lekin ham na honge
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
chhuT jaae agar daaman-e-kaunain to kyaa gham
lekin na chhuTe haath se daamaan-e-mohammad
ye bhi fareb se hain kuchh dard aashiqi ke
ham mar ke kyaa kareinge kyaa kar liyaa hai ji ke