Shayari
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
bichhaD ke tujh se tiri yaad bhi nahin aai
makaan ki samt palaT kar makin nahin aayaa
بچھڑ کے تجھ سے تری یاد بھی نہیں آئی
مکاں کی سمت پلٹ کر مکیں نہیں آیا
बिछड़ के तुझ से तिरी याद भी नहीं आई
मकाँ की सम्त पलट कर मकीं नहीं आया

badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
kisi ke dil mein utarnaa hai kaar-e-laa-haasil
ki saari dhuup to hai aaftaab se baahar
tumhaari yaad nikalti nahin mire dil se
nasha chhalaktaa nahin hai sharaab se baahar
jin ko chhu kar kitne 'zaidi' apni jaan ganvaa baiThe
mere ahd ki shahnaazon ke jism baDe zahrile the
phir vahi shaam vahi dard vahi apnaa junun
jaane kyaa yaad thi vo jis ko bhulaae gae ham
usi ne chaand ke pahlu mein ik charaagh rakhaa
usi ne dasht ke zarron ko aaftaab kiyaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
zindagi ho to kai kaam nikal aate hain
yaad aaungaa kabhi main bhi zarurat mein use
hamaare kamre mein us ki yaadein nahin hain 'faazil'
kahin kitaabein kahin risaale paDe hue hain
main aksar kho saa jaataa huun gali-kuchon ke jangal mein
magar phir bhi tire ghar ki nishaani yaad rakhtaa huun
guzarti hai jo dil par vo kahaani yaad rakhtaa huun
main har gul-rang chehre ko zabaani yaad rakhtaa huun