Shayari
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
tumhaari yaad nikalti nahin mire dil se
nasha chhalaktaa nahin hai sharaab se baahar
تمہاری یاد نکلتی نہیں مرے دل سے
نشہ چھلکتا نہیں ہے شراب سے باہر
तुम्हारी याद निकलती नहीं मिरे दिल से
नशा छलकता नहीं है शराब से बाहर

badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
kisi ke dil mein utarnaa hai kaar-e-laa-haasil
ki saari dhuup to hai aaftaab se baahar
jin ko chhu kar kitne 'zaidi' apni jaan ganvaa baiThe
mere ahd ki shahnaazon ke jism baDe zahrile the
phir vahi shaam vahi dard vahi apnaa junun
jaane kyaa yaad thi vo jis ko bhulaae gae ham
bichhaD ke tujh se tiri yaad bhi nahin aai
makaan ki samt palaT kar makin nahin aayaa
usi ne chaand ke pahlu mein ik charaagh rakhaa
usi ne dasht ke zarron ko aaftaab kiyaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
ai vahshat-e-sahraa mire qadmon se lipaT jaa
ab is se ziyaada to bikharne se rahaa main
chal diye su-e-haram ku-e-butaan se 'momin'
jab diyaa ranj buton ne to khudaa yaad aayaa
uljhaa hai paanv yaar kaa zulf-e-daraaz mein
lo aap apne daam mein sayyaad aa gayaa
kabhi ham mein tum mein bhi chaah thi kabhi ham se tum se bhi raah thi
kabhi ham bhi tum bhi the aashnaa tumhein yaad ho ki na yaad ho