Shayari
jise kal raat bhar puujaa gayaa thaa
vo but kyuun subh ko TuuTaa huaa thaa
abhi tak sirf aavaazein suni hain
abhi tak likh rahi hain ungliyaan ishq
ابھی تک صرف آوازیں سنی ہیں
ابھی تک لکھ رہی ہیں انگلیاں عشق
अभी तक सिर्फ़ आवाज़ें सुनी हैं
अभी तक लिख रही हैं उँगलियाँ इश्क़

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
kisi se ishq apnaa kyaa chhupaaein
mohabbat Tapki paDti hai nazar se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
muddat hui ik shakhs ne dil toD diyaa thaa
is vaaste apnon se mohabbat nahin karte
mujhe samajhne ki koshish na ki mohabbat ne
ye aur baat zaraa pechdaar main bhi thaa
tu jaan-e-mohabbat hai magar teri taraf bhi
ik khvaahish-e-tashhir-e-vafaa le gai ham ko