Shayari
jise kal raat bhar puujaa gayaa thaa
vo but kyuun subh ko TuuTaa huaa thaa
yahi to e'tibaar-e-shab-kada hai
miraa haasil hai ye kaar-e-ziyaan ishq
یہی تو اعتبار شب کدہ ہے
مرا حاصل ہے یہ کار زیاں عشق
यही तो ए'तिबार-ए-शब-कदा है
मिरा हासिल है ये कार-ए-ज़ियाँ इश्क़

sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
musaafiron se mohabbat ki baat kar lekin
musaafiron ki mohabbat kaa e'tibaar na kar
saamne mohabbat ke hech hai siyaasat bhi
jab dimaagh thak jaae dil se kaam le ai dost
kufr-o-imaan do nadi hain ishq kiin
aakhirash dono kaa sangam hovegaa
dil mein jo mohabbat ki raushni nahin hoti
itni khubsurat ye zindagi nahin hoti