Shayari
us ne jab se haath pakaDnaa chhoD diyaa
tab se ham ne saath mein chalnaa chhoD diyaa
lauT kar aae vo viraana-e-hasti dekhe
jis ki khvaahish thi ki barbaad kiyaa jaae mujhe
لوٹ کر آئے وہ ویرانۂ ہستی دیکھے
جس کی خواہش تھی کہ برباد کیا جائے مجھے
लौट कर आए वो वीरना-ए-हस्ती देखे
जिस की ख़्वाहिश थी कि बर्बाद किया जाए मुझे

us ne jab se haath pakaDnaa chhoD diyaa
tab se ham ne saath mein chalnaa chhoD diyaa
tum jo chaaho vo karte phirte ho
saari paabandiyaan hami par hain
teraa aaina kah rahe hain mujhe
meri tasvir dekhne vaale
ab zindagi se koi bhi shikva nahin mujhe
tu mil gayaa to koi tamanna nahin mujhe
dil kaa mire parinda tumhaare qafas mein thaa
jab tak tumhaaraa haath miri dastaras mein thaa
ai chaaraagar ye kaisi hain davaaein
miri taklif baDhti jaa rahi hai
miri tamannaa hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraaein
ki dekhnaa hai ye raushni kaa safar bahut der baa'd jaa kar
marte hain aarzu mein marne ki
maut aati hai par nahin aati
kabhi khauf thaa tire hijr kaa kabhi aarzu ke zavaal kaa
rahaa hijr-o-vasl ke darmiyaan tujhe kho sakaa na main paa sakaa
kyaa kyaa na pyaas jaage mire dil ke dasht mein
hasrat bhi ek aag hai laage jo raat bhar
tiri vafaa mein mili aarzu-e-maut mujhe
jo maut mil gai hoti to koi baat bhi thi
shauq-e-sharaab khvaahish-e-jaam-o-subu nahin
hai sab haraam jab se ki pahlu mein tu nahin