Shayari
na jaane kis liye ummid-vaar baiThaa huun
ik aisi raah pe jo teri rahguzar bhi nahin
yuun sajaa chaand ki jhalkaa tire andaaz kaa rang
yuun fazaa mahki ki badlaa mire hamraaz kaa rang
یوں سجا چاند کہ جھلکا ترے انداز کا رنگ
یوں فضا مہکی کہ بدلا مرے ہم راز کا رنگ
yuuñ sajā chāñd ki jhalkā tire andāz kā rañg
yuuñ fazā mahkī ki badlā mire hamrāz kā rañg

Faiz Ahmad Faiz was a Pakistani poet associated with the Progressive Writers Movement.
na jaane kis liye ummid-vaar baiThaa huun
ik aisi raah pe jo teri rahguzar bhi nahin
raat yuun dil mein tiri khoi hui yaad aai
jaise viraane mein chupke se bahaar aa jaae
har sadaa par lage hain kaan yahaan
dil sambhaale raho zabaan ki tarah
ai zulm ke maato lab kholo chup rahne vaalo chup kab tak
kuchh hashr to un se uTThegaa kuchh duur to naale jaaeinge
chaman pe ghaarat-e-gul-chin se jaane kyaa guzri
qafas se aaj sabaa be-qaraar guzri hai
karo kaj jabin pe sar-e-kafan mire qaatilon ko gumaan na ho
ki ghurur-e-ishq kaa baankpan pas-e-marg ham ne bhulaa diyaa
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
TuTegaa aap kaa dil khadsha hai ye mujhe
zinhaar mujh se nisbat rakhiye na aap bhi
lagtaa hai ki is dil mein koi qaid hai 'ashfaaq'
rone ki sadaa aati hai yaadon ke khanDar se
phir koi duur huaa jaataa hai
phir koi dil ke qarib aaegaa
baat kuchh yuun hai ki kal raat bhari mahfil mein
us kaa jab zikr huaa baat badal di main ne