Shayari
na ibtidaa ki khabar hai na intihaa maalum
rahaa ye vahm ki ham hain so vo bhi kyaa maalum
dil-e-aabaad kaa 'faani' koi mafhum nahin
haan magar jis mein koi hasrat-e-barbaad rahe
دل آباد کا فانیؔ کوئی مفہوم نہیں
ہاں مگر جس میں کوئی حسرت برباد رہے
दिल-ए-आबाद का 'फ़ानी' कोई मफ़्हूम नहीं
हाँ मगर जिस में कोई हसरत-ए-बर्बाद रहे

na ibtidaa ki khabar hai na intihaa maalum
rahaa ye vahm ki ham hain so vo bhi kyaa maalum
apni jannat mujhe dikhlaa na sakaa tu vaaiz
kucha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri
ham hain us ke khayaal ki tasvir
jis ki tasvir hai khayaal apnaa
rone ke bhi aadaab huaa karte hain 'faani'
ye us ki gali hai teraa gham-khaana nahin hai
mujh tak us mahfil mein phir jaam-e-sharaab aane ko hai
umr-e-rafta palTi aati hai shabaab aane ko hai
yaa-rab tiri rahmat se maayus nahin 'faani'
lekin tiri rahmat ki taakhir ko kyaa kahiye
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq ik aisi haveli hai ki jis se baahar
koi darvaaza khule aur na daricha nikle
badan malbus mein shoala saa ik larzaan qarin-e-jaan
dil-e-khaashaak bhi shoala huaa jaltaa rahaa main bhi
Thukraao ab ki pyaar karo main nashe mein huun
jo chaaho mere yaar karo main nashe mein huun
maangti hai ab mohabbat apne hone kaa subut
aur main jaataa nahin izhaar ki tafsil mein