Shayari
jaise paani pe naqsh ho koi
raunaqein sab adam-sabaat rahin
badan malbus mein shoala saa ik larzaan qarin-e-jaan
dil-e-khaashaak bhi shoala huaa jaltaa rahaa main bhi
بدن ملبوس میں شعلہ سا اک لرزاں قرین جاں
دل خاشاک بھی شعلہ ہوا جلتا رہا میں بھی
बदन मल्बूस में शोला सा इक लर्ज़ां क़रीन-ए-जाँ
दिल-ए-ख़ाशाक भी शोला हुआ जलता रहा मैं भी

jaise paani pe naqsh ho koi
raunaqein sab adam-sabaat rahin
ye kaun si jagah hai ye basti hai kaun si
koi bhi is jahaan mein tere sivaa nahin
jiyungaa main tiri saanson mein jab tak
khud apni saans mein zinda rahungaa
kuchh to inaayatein hain mire kaarsaaz ki
aur kuchh mire mizaaj ne tanhaa kiyaa mujhe
ishq ik aisi haveli hai ki jis se baahar
koi darvaaza khule aur na daricha nikle
hazaar kaarvaan yuun to hain mere saath magar
jo mere naam hai vo qaafila kab aaegaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
raah-e-ulfat mein mulaaqaat hui kis kis se
dasht mein qais milaa koh mein farhaad mujhe
kisi ne mol na puchhaa dil-e-shikasta kaa
koi kharid ke TuuTaa piyaala kyaa kartaa
dil bahut bechain be-aaraam hai
kyaa mohabbat kaa yahi anjaam hai
kaam the ishq mein bahut par 'mir'
ham hi faarigh hue shitaabi se