Shayari
aaine se banaae rakh har dam
aaina shakhsiyat badaltaa hai
F
Farhan Dilapni taarif sun ke khush mat ho
varna dil mein ghurur paltaa hai
اپنی تعریف سن کے خوش مت ہو
ورنہ دل میں غرور پلتا ہے
अपनी तारीफ़ सुन के ख़ुश मत हो
वर्ना दिल में ग़ुरूर पलता है
aaine se banaae rakh har dam
aaina shakhsiyat badaltaa hai
ashk jo aankh se nikaltaa hai
hiddat-e-gham se dil pighaltaa hai
tum jahaan ho vahaan ye yaad rakho
har sitaara jagah badaltaa hai
aql yunhi kise mili hai dost
tajraba aagahi mein Dhaltaa hai
kyaa zaruri hai saath dein saathi
yuun to saaya bhi saath chaltaa hai
itni jheli hai dil ne maayusi
laa-shuuri mein haath maltaa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa