Shayari
ye mai-kada hai kalisaa o khaanqaah nahin
uruj-e-fikr o farogh-e-nazar ki manzil hai
nikhar gae hain pasine mein bhiig kar aariz
gulon ne aur bhi shabnam se taazgi paai
نکھر گئے ہیں پسینے میں بھیگ کر عارض
گلوں نے اور بھی شبنم سے تازگی پائی
निखर गए हैं पसीने में भीग कर आरिज़
गुलों ने और भी शबनम से ताज़गी पाई

ye mai-kada hai kalisaa o khaanqaah nahin
uruj-e-fikr o farogh-e-nazar ki manzil hai
rah-e-talab mein kise aarzu-e-manzil hai
shuur ho to safar khud safar kaa haasil hai
ye chaar din ki rifaaqat bhi kam nahin ai dost
tamaam umr bhalaa kaun saath detaa hai
shabaab-e-husn hai barq-o-sharar ki manzil hai
ye aazmaaish-e-qalb-o-nazar ki manzil hai
bastiyon mein hone ko haadse bhi hote hain
pattharon ki zad par kuchh aaine bhi hote hain
manzilein raah mein thiin naqsh-e-qadam ki surat
ham ne muD kar bhi na dekhaa kisi manzil ki taraf
charaagh ki thartharaati lau mein har os qatre mein har kiran mein
tumhaari aankhein kahaan nahin thiin tumhaaraa chehra kahaan nahin thaa
aisi duniyaa mein kab tak guzaaraa karein tum hi kah do ki kaise gavaaraa karein
raat mujh se miri bebasi ne kahaa bebasi ke liye ek taaza ghazal
har ek shaakh pe viraaniyaan musallat hain
badan-darakht bhi goyaa hai aashiyaan-e-shab
shor din ko nahin sone detaa
shab ko sannaaTaa jagaa detaa hai
jaate qadmon ki koi chaap hi shaayad sun luun
Dubte lamhon ki baaraat ubhar jaa mujh mein
kohar mein gum-sum samaaato tum gavaah rahnaa
main ek divaar-e-girya har raat chun rahaa huun