Shayari
rah-e-talab mein kise aarzu-e-manzil hai
shuur ho to safar khud safar kaa haasil hai
ye mai-kada hai kalisaa o khaanqaah nahin
uruj-e-fikr o farogh-e-nazar ki manzil hai
یہ مے کدہ ہے کلیسا و خانقاہ نہیں
عروج فکر و فروغ نظر کی منزل ہے
ये मय-कदा है कलीसा ओ ख़ानक़ाह नहीं
उरूज-ए-फ़िक्र ओ फ़रोग़-ए-नज़र की मंज़िल है

rah-e-talab mein kise aarzu-e-manzil hai
shuur ho to safar khud safar kaa haasil hai
ye chaar din ki rifaaqat bhi kam nahin ai dost
tamaam umr bhalaa kaun saath detaa hai
shabaab-e-husn hai barq-o-sharar ki manzil hai
ye aazmaaish-e-qalb-o-nazar ki manzil hai
nikhar gae hain pasine mein bhiig kar aariz
gulon ne aur bhi shabnam se taazgi paai
bastiyon mein hone ko haadse bhi hote hain
pattharon ki zad par kuchh aaine bhi hote hain
manzilein raah mein thiin naqsh-e-qadam ki surat
ham ne muD kar bhi na dekhaa kisi manzil ki taraf
jinhein ye fikr nahin sar rahe rahe na rahe
vo sach hi kahte hain jab bolne pe aate hain
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
maango samundaron se na saahil ki bhiik tum
haan fikr o fan ke vaaste gahraai maang lo
gulaabon ke honTon pe lab rakh rahaa huun
use der tak sochnaa chaahtaa huun
niind se jaagaa huun to baiThaa sochtaa huun
khvaab mein us ko paayaa thaa yaa saayaa thaa
zakhm gintaa huun shab-e-hijr mein aur sochtaa huun
main to apnaa bhi na thaa kaise tumhaaraa huaa huun