Shayari
ye sukhe patte nahin zamaane pe tabsire hain
shajar ne likh kar bikher di hain fazaa mein baatein
rahnaa pal pal dhyaan mein
milnaa iid ke iid mein
رہنا پل پل دھیان میں
ملنا عید کے عید میں
रहना पल पल ध्यान में
मिलना ईद के ईद में

ye sukhe patte nahin zamaane pe tabsire hain
shajar ne likh kar bikher di hain fazaa mein baatein
vo mire kaase mein yaadein chhoD kar yuun chal diyaa
jis tarah alfaaz jaate hon muaani chhoD kar
chehron ko pairon se kuchal kar aage baDh jaanaa
jiit isi ko kahte hain to phir main haar gayaa
titliyaan phuul mein kyaa DhunDhti rahti hain sadaa
kyaa kahin baad-e-sabaa rakh gai paighaam tiraa
''jo bhi aave hai vo nazdik hi baiThe hai tire''
shisha-e-chashm mein kis kis ko utaaraa huaa hai
us ki aankhon mein mohabbat kaa gumaan tak nahin aaj
kaun si aag thi kal jis kaa dhuaan tak nahin aaj
rasman gale to milte hain ham 'iid par zarur
lekin dilon ke faasle hote nahin hain duur
tamaam shahr gale lag gayaa to kyaa haasil
vo ham ko munh jo lagaae to eid ho jaae
tum se kahaa thaa baam pe mat jaanaa aaj shaam
dekhaa naan saare shahr ki to eid ho gai
eid kaa din hai so kamre mein paDaa huun 'aslam'
apne darvaaze ko baahar se muqaffal kar ke
us se milnaa to use eid-mubaarak kahnaa
ye bhi kahnaa ki miri eid mubaarak kar de
aap idhar aae udhar diin aur imaan gae
iid kaa chaand nazar aayaa to ramzaan gae