Shayari
vo qaht-e-mukhlisi hai ki yaaron ki bazm se
ghibat nikaal dein to faqat khaamushi bache
sadaa-e-dard lagaataa huun us gali mein jahaan
shaguft-e-gul bhi samaa'at pe baar hoti hai
صدائے درد لگاتا ہوں اس گلی میں جہاں
شگفت گل بھی سماعت پہ بار ہوتی ہے
सदा-ए-दर्द लगाता हूँ उस गली में जहाँ
शगुफ़्त-ए-गुल भी समा'अत पे बार होती है

gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
nazar bachaa ke jo aansu kiye the main ne paak
khabar na thi yahi dhabbe baneinge daaman ke
us pe qurbaan ki jis ne tiri aavaaz suni
sadqe us aankh ke jis ne tiraa jalva dekhaa
vo dard huun koi chaara nahin hai jis kaa kahin
vo zakhm huun ki hai dushvaar indimaal miraa