Shayari
shahr-dar-shahr bhaTakte hi rahe umr tamaam
kyaa tire haath ki rekhaaon mein aaraam nahin
dil ke aangan mein andheraa hai bahut
chaand ban kar utar aao to sahi
دل کے آنگن میں اندھیرا ہے بہت
چاند بن کر اتر آؤ تو سہی
दिल के आँगन में अंधेरा है बहुत
चाँद बन कर उतर आओ तो सही

shahr-dar-shahr bhaTakte hi rahe umr tamaam
kyaa tire haath ki rekhaaon mein aaraam nahin
jaagi kirnein to sabze par jhilmil aansu bol uThe
raat ko tanhaai mein shabnam chupke chupke roi hai
baiThe baiThe yuun hi tanhaai ke sahraaon mein
dard ki ret pe likhte hain tiraa naam aksar
jhiil mein chaandni kaa aks-e-jamil
yaa tiri yaad dil se guzri hai
main apni zaat mein gum be-khudi mein rahti huun
sabaa ki tarah koi chheDe gudgudaae mujhe
tiri nigaah mein ye jo kiran si kaanpti hai
dayaar-e-dil mein ye kaisaa charaagh jaltaa hai
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
dil ki haalat se khabar deti hai
'asar' aashufta-bayaani meri
dil kaun hai ki us se kahein raaz-e-ishq ham
tere khayaal se bhi na ham guftugu karein
jab mile do dil mukhil phir kaun hai
baiTh jaao khud hayaa uTh jaaegi
ye aarzu thi ki ham us ke saath saath chalein
magar vo shakhs to rasta badaltaa jaataa hai