Shayari
is hirs-o-havas ke mele mein ham jins-e-mohabbat laae hain
sab saste maal ke gaahak hain ye mahngaa saudaa kaun kare
aag paani se bhaap uThti rahi
ham samajhte rahe mohabbat hai
آگ پانی سے بھاپ اٹھتی رہی
ہم سمجھتے رہے محبت ہے
आग पानी से भाप उठती रही
हम समझते रहे मोहब्बत है

is hirs-o-havas ke mele mein ham jins-e-mohabbat laae hain
sab saste maal ke gaahak hain ye mahngaa saudaa kaun kare
sajda vo hai ba-rabb-e-kaaba
jis ko qaid-e-haram nahin hai
khuub tamaashaa ham ko banaayaa aap tamaashaa aap hue
ham ko rusvaa karne nikle kaise rusvaa aap hue
ye hamaari aap ki duriyaan ye kabhi kabhi ki huzuriyaan
hain ajab tarah ki lagaavTein rah-o-rasm-e-dur-o-daraaz mein
ek din rindon ne masjid mein namaaz aa ke paDhi
dusre din use mai-khaana banaa kar chhoDaa
khirad ko khaana-e-dil kaa nigah-baan kar diyaa ham ne
ye ghar aabaad hotaa is ko viraan kar diyaa ham ne
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
thi kal dayaar-e-'ishq mein 'iduzzuhaa 'miraash'
ham kyaa galaa kaTaate 'ajab bheD-chaal thi
sardi aur garmi ke uzr nahin chalte
mausam dekh ke saahab ishq nahin hotaa
dil ek hai to kai baar kyuun lagaayaa jaae
bas ek ishq bahut hai agar nibhaayaa jaae
ishq in zaalimon ki duniyaa mein
kitni mazlum zaat hai ai dil