Shayari
aadmi kaa amal se rishta hai
kaam aataa nahin nasab kuchh bhi
ab aa bhi jaao ki ik dusre mein gum ho jaaein
visaal-o-hijr kaa qissa bahut puraanaa huaa
اب آ بھی جاؤ کہ اک دوسرے میں گم ہو جائیں
وصال و ہجر کا قصہ بہت پرانا ہوا
अब आ भी जाओ कि इक दूसरे में गुम हो जाएँ
विसाल-ओ-हिज्र का क़िस्सा बहुत पुराना हुआ

aadmi kaa amal se rishta hai
kaam aataa nahin nasab kuchh bhi
kis darja mire shahr ki dilkash hai fazaa bhi
maanus har ik chiiz hai miTTi bhi havaa bhi
dekho to har ik rang se miltaa hai miraa rang
socho to har ik baat hai auron se judaa bhi
raat aangan mein chaand utraa thaa
tum mile the ki khvaab dekhaa thaa
gham-gusaari ke liye ab nahin aataa hai koi
zakhm bhar jaane kaa imkaan na huaa thaa so huaa
jo dekhiye to zamaana hai tez-rau kitnaa
tulu-e-subh abhi hai to vaqt-e-shaam abhi
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
aasaan nahin insaaf ki zanjir hilaanaa
duniyaa ko jahaangir kaa darbaar na samjho
ham ne maanaa ik na ik din lauT ke tu aa jaaegaa
lekin tujh bin umr jo guzri kaun use lauTaaegaa
paDosi piTte hain jab dariche aur darvaaze
main Thumri chheD detaa huun taraanaa chhoD detaa huun
pahaaD bhaanp rahaa thaa mire iraade ko
vo is liye bhi ki tesha mujhe uThaanaa thaa