Shayari
vo kisi ko yaad kar ke muskuraayaa thaa udhar
aur main naadaan ye samjhaa ki vo meraa huaa
'azim log the TuuTe to ik vaqaar ke saath
kisi se kuchh na kahaa bas udaas rahne lage
عظیم لوگ تھے ٹوٹے تو اک وقار کے ساتھ
کسی سے کچھ نہ کہا بس اداس رہنے لگے
'अज़ीम लोग थे टूटे तो इक वक़ार के साथ
किसी से कुछ न कहा बस उदास रहने लगे

vo kisi ko yaad kar ke muskuraayaa thaa udhar
aur main naadaan ye samjhaa ki vo meraa huaa
aaj phir niind ko aankhon se bichhaDte dekhaa
aaj phir yaad koi choT puraani aai
muddaton baa'd mayassar huaa maan kaa aanchal
muddaton baa'd hamein niind suhaani aai
na jaane kitne charaaghon ko mil gai shohrat
ik aaftaab ke be-vaqt Duub jaane se
le gaiin duur bahut duur havaaein jis ko
vahi baadal thaa miri pyaas bujhaane vaalaa
suno samundar ki shokh lahro havaaein Thahri hain tum bhi Thahro
vo duur saahil pe ek bachcha abhi gharaunde banaa rahaa hai
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ishq udaasi ke paighaam to laataa rahtaa hai din raat
lekin ham ko khush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
dard aaluda-e-darmaan thaa 'ravish'
dard ko dard banaayaa ham ne
yaarab tu us ke dil se sadaa rakhiyo gham ko duur
jis ne kisi ke dil ko kabhi shaadmaan kiyaa