Shayari
vo kisi ko yaad kar ke muskuraayaa thaa udhar
aur main naadaan ye samjhaa ki vo meraa huaa
aaj phir niind ko aankhon se bichhaDte dekhaa
aaj phir yaad koi choT puraani aai
آج پھر نیند کو آنکھوں سے بچھڑتے دیکھا
آج پھر یاد کوئی چوٹ پرانی آئی
आज फिर नींद को आँखों से बिछड़ते देखा
आज फिर याद कोई चोट पुरानी आई

vo kisi ko yaad kar ke muskuraayaa thaa udhar
aur main naadaan ye samjhaa ki vo meraa huaa
muddaton baa'd mayassar huaa maan kaa aanchal
muddaton baa'd hamein niind suhaani aai
na jaane kitne charaaghon ko mil gai shohrat
ik aaftaab ke be-vaqt Duub jaane se
'azim log the TuuTe to ik vaqaar ke saath
kisi se kuchh na kahaa bas udaas rahne lage
le gaiin duur bahut duur havaaein jis ko
vahi baadal thaa miri pyaas bujhaane vaalaa
suno samundar ki shokh lahro havaaein Thahri hain tum bhi Thahro
vo duur saahil pe ek bachcha abhi gharaunde banaa rahaa hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
ruuh ke is viraane mein teri yaad hi sab kuchh thi
aaj to vo bhi yuun guzri jaise gharibon kaa tyauhaar
zindagi naam hai judaai kaa
aap aae to mujh ko yaad aayaa
kuchh yaad kar ke aankh se aansu nikal paDe
muddat ke baad guzre jo us ki gali se ham
gham ki dhuup utarte hi kyuun pighalne lagti hai
yaad ke gharaunde mein mom ki bani khiDki