Shayari
bahut hairat-zada hai aaina bhi
ki chehre par koi chehra nahin hai
aaine par koi tohmat na dharo
khaal-o-khad apne sanvaaro saahab
آئنے پر کوئی تہمت نہ دھرو
خال و خد اپنے سنوارو صاحب
आइने पर कोई तोहमत न धरो
ख़ाल-ओ-ख़द अपने सँवारो साहब

bahut hairat-zada hai aaina bhi
ki chehre par koi chehra nahin hai
niind mat DhunD meri aankhon mein
silvaTein dekh mere bistar par
us ko matlab kaa jab milaa mausam
rang us ke the dekhne vaale
tu bhi dekhegaa zaraa rang utar lein tere
ham hi rakhte hain tujhe yaad ki sab rakhte hain
kyon miri daastaan kaa hissa hain
jo miri daastaan ke the hi nahin
izhaar ki ye bhi surat thi
khaamoshi ko fariyaad kiyaa
saaqi mujhe sharaab ki tohmat nahin pasand
mujh ko tiri nigaah kaa ilzaam chaahiye
'alvi' khvaahish bhi thi baanjh
jazba bhi naa-mard milaa
kuchh log jo savaar hain kaaghaz ki naav par
tohmat taraashte hain havaa ke dabaav par
shaa'iri kyaa hai miri jaan tujhe maa'lum nahin
ek tohmat hai jo mujh par bhi lagaa di gai hai
ye pyaar kaa jazba tire kuchh kaam to aae
meraa nahin bantaa hai to ban aur kisi kaa
de hausle ki daad ki ham tere gham mein aaj
baiThe hain mahfilon ko sajaae tire baghair