Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
saari duniyaa ke khayaalaat the dil mein lekin
jab se hai yaad tiri kuchh bhi nahin yaad mujhe
ساری دنیا کے خیالات تھے دل میں لیکن
جب سے ہے یاد تری کچھ بھی نہیں یاد مجھے
सारी दुनिया के ख़यालात थे दिल में लेकिन
जब से है याद तिरी कुछ भी नहीं याद मुझे

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
tu kuchh bhi ho kab tak tujhe ham yaad kareinge
taa-hashr to ye dil bhi dhaDaktaa na rahegaa
baiThe baiThe mujhe aayaa hai gunaahon kaa khayaal
shaayad tiri rahmat ne mujhe yaad kiyaa hai
yunhi har shaam agar aap ko ham yaad rahein
sohbatein garm rahein mahfilein aabaad rahein
vo ayaadat ke liye aae hain lo aur sahi
aaj hi khubi-e-taqdir se haal achchhaa hai