Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
سوتے میں وہ جو مجھ سے ہم آغوش ہو گئے
جتنے گلے تھے خواب فراموش ہو گئے
सोते में वह जो मुझ से हम-आग़ोश हो गए
जितने गिले थे ख़्वाब-ए-फ़रामोश हो गए

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
kah do ye kohkan se ki marnaa nahin kamaal
mar mar ke hijr-e-yaar mein jiinaa kamaal hai
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
hasin khvaab ko sachchaa samajh rahaa hai koi
faqat gumaan ko duniyaa samajh rahaa hai koi
main ne jo khvaab abhi dekhaa nahin hai 'akhtar'
meraa har khvaab usi khvaab ki taabir bhi hai
puraane khvaabon se reza reza badan huaa hai
ye chaahtaa huun ki ab nayaa koi khvaab dekhun
khvaabida apne chaahne vaalon ko dekh kar
mumkin hai lauT jaae sahar jaagte raho
haan ye bhi tariqa achchhaa hai tum khvaab mein milte ho mujh se
aate bhi nahin gham-khaane tak vaada bhi vafaa ho jaataa hai