Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
پیاری صورت وہ ہائے کیا ہوگی
جس کو بے دیکھے پیار آتا ہے
प्यारी सूरत वो हाए क्या होगी
जिस को बे-देखे प्यार आता है

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
kah do ye kohkan se ki marnaa nahin kamaal
mar mar ke hijr-e-yaar mein jiinaa kamaal hai
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ai subh ki kiran mujhe pyaari hai tu bahut
tujh se lipaT paDungaa agar jaagtaa huaa
mere naale ke na kyuun ho charkh-e-akhzar zer-e-paa
khutba khvaan-e-ishq hai rakhtaa hai mimbar zer-e-paa
mushkil hai rok aah-e-dil-e-daaghdaar ki
kahte hain sau sunaar ki aur ik luhaar ki
dard-e-ulfat zindagi ke vaaste iksir hai
khaak ke putle isi jauhar se insaan ho gae