Shayari
aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
tazkira soz-e-mohabbat kaa kiyaa thaa ik baar
taa-dam-e-marg zabaan se miri chhaale na gae
تذکرہ سوز محبت کا کیا تھا اک بار
تا دم مرگ زباں سے مری چھالے نہ گئے
तज़्किरा सोज़-ए-मोहब्बत का किया था इक बार
ता-दम-ए-मर्ग ज़बाँ से मिरी छाले न गए

aaj hai vo bahaar kaa mausam
phuul toDun to haath jaam aae
pyaari surat vo haae kyaa hogi
jis ko be-dekhe pyaar aataa hai
sote mein vo jo mujh se ham-aaghosh ho gae
jitne gile the khvaab-e-faraamosh ho gae
mohabbat ek taraf se mazaa nahin deti
kuchh iztiraab tujhe ho kuchh iztiraab mujhe
kah do ye kohkan se ki marnaa nahin kamaal
mar mar ke hijr-e-yaar mein jiinaa kamaal hai
jo tire ishq mein tabaah huaa
koi us ko tabaah kar na sakaa
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
naasehaa puchhte phirte hain sabab uljhan kaa
'ishq gar khud ye karein hosh Thikaane lag jaaein
taa-falak le gai betaabi-e-dil tab bole
hazrat-e-ishq ki pahlaa hai ye ziinaa apnaa
haan kuchh bhi to derina mohabbat kaa bharam rakh
dil se na aa duniyaa ko dikhaane ke liye aa
vo to kahiye aap ki ulfat mein dil bahlaa rahaa
varna duniyaa chaar din bhi rahne ke qaabil na thi