Shayari
bin tumhaare kabhi nahin aai
kyaa miri niind bhi tumhaari hai
ab nahin koi baat khatre ki
ab sabhi ko sabhi se khatra hai
اب نہیں کوئی بات خطرے کی
اب سبھی کو سبھی سے خطرہ ہے
ab nahīñ koī baat ḳhatre kī
ab sabhī ko sabhī se ḳhatra hai

bin tumhaare kabhi nahin aai
kyaa miri niind bhi tumhaari hai
ek qattaala chaahiye ham ko
ham ye ealaan-e-aam kar rahe hain
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
ham ajab hain ki us ki baahon mein
shikva-e-naarasaai karte hain
us ke honThon pe rakh ke honTh apne
baat hi ham tamaam kar rahe hain
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
main to is Dar se kuchh nahin kahtaa
tu mabaadaa udaas ho jaave
nayaa saal divaar par Taang de
puraane baras kaa calendar giraa
aisaa hangaama na thaa jangal mein
shahr mein aae to Dar lagtaa thaa
phir is mazaaq ko jamhuriyat kaa naam diyaa
hamein Daraane lage vo hamaari taaqat se
ham ko Daraa kar, aap ko khairaat baanT kar
ik shakhs raaton-raat jahaangir ho gayaa
kabutaron mein ye dahshat kahaan se dar aai
ki masjidon se bhi kuchh duur jaa ke baiTh gae