Shayari
is baar intizaam to sardi kaa ho gayaa
kyaa haal peD kaTte hi basti kaa ho gayaa
kabutaron mein ye dahshat kahaan se dar aai
ki masjidon se bhi kuchh duur jaa ke baiTh gae
کبوتروں میں یہ دہشت کہاں سے در آئی
کہ مسجدوں سے بھی کچھ دور جا کے بیٹھ گئے
कबूतरों में ये दहशत कहाँ से दर आई
कि मस्जिदों से भी कुछ दूर जा के बैठ गए

is baar intizaam to sardi kaa ho gayaa
kyaa haal peD kaTte hi basti kaa ho gayaa
vo saanp jis ne mujhe aaj tak Dasaa bhi nahin
tamaam zahr sukhan mein mire usi kaa hai
phir is mazaaq ko jamhuriyat kaa naam diyaa
hamein Daraane lage vo hamaari taaqat se
apni aahaT pe chaunktaa huun main
kis ki duniyaa mein aa gayaa huun main
vo tanz ko bhi husn-e-talab jaan khush hue
ulTaa paDhaa gayaa, miraa paighaam aur thaa
bas tire aane ki ik afvaah kaa aisaa asar
kaise kaise log the bimaar achchhe ho gae
khauf-e-mahshar na rahaa dil mein jo dekhaa main ne
pusht par mere gunaahon ke hai rahmat us ki
jiine vaale qazaa se Darte hain
zahr pi kar davaa se Darte hain
sahmaa sahmaa Daraa saa rahtaa hai
jaane kyuun ji bharaa saa rahtaa hai
shahr ki galiyon mein gahri tirgi giryaan rahi
raat baadal is tarah aae ki main to Dar gayaa
vo khaDaa hai ek baab-e-ilm ki dahliz par
main ye kahtaa huun use is khauf mein daakhil na ho
din bhar jo suraj ke Dar se galiyon mein chhup rahte hain
shaam aate hi aankhon mein vo rang puraane aa jaate hain