Shayari
na gharaz mujh ko hai kaafir se na din-daar se kaam
roz-o-shab hai mujhe us kaakul-e-khamdaar se kaam
main to is Dar se kuchh nahin kahtaa
tu mabaadaa udaas ho jaave
میں تو اس ڈر سے کچھ نہیں کہتا
تو مبادا اداس ہو جاوے
मैं तो इस डर से कुछ नहीं कहता
तू मबादा उदास हो जावे

na gharaz mujh ko hai kaafir se na din-daar se kaam
roz-o-shab hai mujhe us kaakul-e-khamdaar se kaam
mat ponchh abru-e-araq-aalud haath se
laazim hai ehtiyaat ki hai aab-daar tegh
taaki ibrat karein aur ghair na dekhein tujh ko
ji mein aataa hai nikalvaaiye do-chaar ki aankh
guzri hai raat mujh mein aur dil mein turfa sohbat
idhar to main ne ki aah udhar se vo karaahaa
mat bakht-e-khufta par mire hans ai raqib tu
hogaa tire nasib bhi ye khvaab dekhnaa
furqat ki shab mein aaj ki phir kyaa jalaaveinge
dil kaa diyaa thaa ek so kal hi jalaa diyaa
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
tu ham se hai bad-gumaan sad afsos
tere hi to jaan-nisaar hain ham
donon ne kiyaa hai mujh ko rusvaa
kuchh dard ne aur kuchh davaa ne
tu hai aur aish hai aur anjuman-aaraai hai
main huun aur ranj hai aur gosha-e-tanhaai hai