Shayari
ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
ab to har baat yaad rahti hai
ghaaliban main kisi ko bhuul gayaa
اب تو ہر بات یاد رہتی ہے
غالباً میں کسی کو بھول گیا
ab to har baat yaad rahtī hai
ġhāliban maiñ kisī ko bhuul gayā

ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
aaj bahut din baa'd main apne kamre tak aa niklaa thaa
juun hi darvaaza kholaa hai us ki khushbu aai hai
shishe ke is taraf se main sab ko tak rahaa huun
marne ki bhi kisi ko fursat nahin hai mujh mein
main ab har shakhs se uktaa chukaa huun
faqat kuchh dost hain aur dost bhi kyaa
vo jo na aane vaalaa hai naa us se mujh ko matlab thaa
aane vaalon se kyaa matlab aate hain aate honge
bahut nazdik aati jaa rahi ho
bichhaDne kaa iraada kar liyaa kyaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
chand qadmon se ziyaada nahin chalne paate
jis ko dekho vahi qaidi kisi zanjir kaa hai
tu aa gayaa hai to ab yaad bhi nahin mujh ko
ye ishq meraa buraa haal karne vaalaa thaa
parinde yaadon ke aate hain lauT jaate hain
badan ki ret pe koi shajar zaruri hai
lahu rulaate hain aur phir bhi yaad aate hain
mohabbaton ke puraane nisaab se kuchh hain