Shayari
ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
hamein shikva nahin ik dusre se
manaanaa chaahiye is par khushi kyaa
ہمیں شکوہ نہیں اک دوسرے سے
منانا چاہئے اس پر خوشی کیا
hameñ shikva nahīñ ik dūsre se
manānā chāhiye is par ḳhushī kyā

ek hi to havas rahi hai hamein
apni haalat tabaah ki jaae
aaj bahut din baa'd main apne kamre tak aa niklaa thaa
juun hi darvaaza kholaa hai us ki khushbu aai hai
shishe ke is taraf se main sab ko tak rahaa huun
marne ki bhi kisi ko fursat nahin hai mujh mein
main ab har shakhs se uktaa chukaa huun
faqat kuchh dost hain aur dost bhi kyaa
vo jo na aane vaalaa hai naa us se mujh ko matlab thaa
aane vaalon se kyaa matlab aate hain aate honge
bahut nazdik aati jaa rahi ho
bichhaDne kaa iraada kar liyaa kyaa
kyon tasavvur mein ji rahaa huun main
jab haqiqat mein mar hi jaanaa hai
apni anaa ki aaj bhi taskin ham ne ki
ji bhar ke us ke husn ki tauhin ham ne ki
vo kuchh muskuraanaa vo kuchh jheinp jaanaa
javaani adaaein sikhaati hain kyaa kyaa
talab ke raaste par aa gayaa huun
bataao ab mujhe jaanaa kahaan hai
khud hi uchhaalun patthar khud hi sar par le luun
jab chaahun suune mausam se manzar le luun
aasaan nahin insaaf ki zanjir hilaanaa
duniyaa ko jahaangir kaa darbaar na samjho