Shayari
bin tumhaare kabhi nahin aai
kyaa miri niind bhi tumhaari hai
marham-e-hijr thaa ajab iksir
ab to har zakhm bhar gayaa hogaa
مرہم ہجر تھا عجب اکسیر
اب تو ہر زخم بھر گیا ہوگا
marham-e-hijr thā ajab iksīr
ab to har zaḳhm bhar gayā hogā

bin tumhaare kabhi nahin aai
kyaa miri niind bhi tumhaari hai
ek qattaala chaahiye ham ko
ham ye ealaan-e-aam kar rahe hain
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
bahut nazdik aati jaa rahi ho
bichhaDne kaa iraada kar liyaa kyaa
ham ajab hain ki us ki baahon mein
shikva-e-naarasaai karte hain
dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikva ham nahin karte
kuchh aur vus'atein darkaar hain mohabbat ko
visaal-o-hijr pe daar-o-madaar mushkil hai
kabhi khauf thaa tire hijr kaa kabhi aarzu ke zavaal kaa
rahaa hijr-o-vasl ke darmiyaan tujhe kho sakaa na main paa sakaa
hijr mein us nigaar-e-taabaan ke
lamha lamha baras hai kyaa kiije
us se na miliye jis se mile dil tamaam umr
sujhi hamein bhi hijr mein aakhir ko duur ki
raaton ko puchhti hai talab mujh se ye savaal
kyon hijr ne rakhaa mire ghar ko ujaaD kar
sunaa rahaa huun nakirain ko fasaana-e-hijr
savaal un ke judaa hain mire javaab judaa