Shayari
hazaaron chaand sitaare chamak gae hote
kabhi nazar jo tiri maail-e-karam hoti
tum nahin aaoge khabar hai hamein
phir bhi ham intizaar kar leinge
تم نہیں آؤ گے خبر ہے ہمیں
پھر بھی ہم انتظار کر لیں گے
तुम नहीं आओगे ख़बर है हमें
फिर भी हम इंतिज़ार कर लेंगे

hazaaron chaand sitaare chamak gae hote
kabhi nazar jo tiri maail-e-karam hoti
meri tarah se ye bhi sataayaa huaa hai kyaa
kyuun itne daagh dikhte hain mahtaab mein abhi
sab log hamein ek nazar aate hain
andaaza nahin hotaa hai ab chehron kaa
aisaa ho zindagi mein koi khvaab hi na ho
andhiyaari raat mein koi mahtaab hi na ho
lafzon kaa khazaana bhi kabhi kaam na aae
baiThe rahein likhne ko tiraa naam na aae
vo buraai sab se meri kar rahe hain
kyuun nahin karte bayaan achchhaaiyon ko
vo na aaegaa hamein maalum thaa is shaam bhi
intizaar us kaa magar kuchh soch kar karte rahe
pyaaso raho na dasht mein baarish ke muntazir
maaro zamin pe paanv ki paani nikal paDe
kahin vo aa ke miTaa dein na intizaar kaa lutf
kahin qubul na ho jaae iltijaa meri
khaDaa huaa huun sar-e-raah muntazir kab se
ki koi guzre to gham kaa ye bojh uThvaa de
ab jo patthar hai aadmi thaa kabhi
is ko kahte hain intizaar miyaan
hasb-e-maa'mul ek moD pe aaj
der tak teraa intizaar huaa